Ye Kaun Sochta hai




"Ye kaun sochta hai ?

Wo bachcha jo karon ke shishe ponchtaa hai
Jo daudtaa hai jabki laal signal ya sipahi sabko rokta hai
Jiske liye ruki hui car ka khulta shisha
Kismat khulne ke samaan hai
Gaadi ponchne par us shishe me se koi chand sikke de de
Jiske dil me bus itna hi armaan hai
Jiski kismat me bus sookhi rotiyaan, fate kapade
Aur ek gandi si basti me tin ka makaan hai
Jiske liye sardi ka kambal aur baarish ki chatari 
Ye khulaa aasmaan hai;
Wo kaise din bhar me apni choti-choti aankhon ke
Bade-bade sapnon ka gala ghontaa hai?
Ye kaun sochtaa hai?

Ye kaun sochtaa hai?
Ki wo bachcha jo sadak kinaare bheekh maang raha hai,
Kisi se car aur kothi to nahi
Sirf pet bharne ko chand sikke maang raha hai
Use bhi koi shauk nahi hai
Haath failane ka
Aur har doosre-teesre aadmi se gaali khane ka
Lekin wo majboor hai
Kyunki uske ma-baap ke paas paise nahi hain
Usme aur tum-me antar bus itna hai
ki uske ma-baap, tumhare ma-baap jaise nahi hain
Tumhare school me jitni fees jaati thi
Utne rupae me to uska baap
Poore pariwar ko paalta-poshta hai
Bharat-uday to wo jaanta nahi
Lekin har surya-uday ke saath
Ek aur din ki roti ka khayaal 
Uska dimaag nochtaa hai
Ye kaun sochta hai?

Ye kaun sochta hai?
Ki Bharat-uday aur ye chamak-damak
Bus kuch unche mahalon ka drishya hai
Desh ki thodi si janata ke liye 
Ikkisavin sadi-Ujjawal bhavisya hai
Baki ka desh
Khud ko in sapnon me kahin tatoltaa hai
Desh ka kya hoga ?
Jab is desh ka yuva chand suvidhaaon ke liye
Khud ko ek andhi daud me jhonkta hai
Par ye kaun sochta hai?
Ye kaun sochta hai?"


Written by: Vikas Dwivedi
        Volunteer- Team Manorath
contact.vikas.dwivedi@gmail.com

Comments

Popular posts from this blog

Newspapers Talking About Results of Knowledge, Attitude and Practices Study Done for Girl Child Education Campaign 2012

Let’s Talk Periods! - It is the Need of the Hour

We all have great potential for change; All we need is a little motivation.- Rupal's Internship Experience with CRY